“Main kisi aur ki hoon itna bata kar roi,

wo mujhe mehndi lagey hath dikha kar roi,

umar bhar ki judai ka khayal aya tha,

wo mujhe pas apne bitha kar roi,

khat kitabein wo pyar k tohfey,

mohabbat ki sab nishaniyan jala kar roi,

tumhari di hui sab cheezein utar li gayein,

wo mujhe sej pe sajey zevar dikha kar roi,

ab k na sahi zarur hashar main mileingey,

yakja honey k dilasey dila kar roi,

mujhse ziyada gham bicharney ka usey tha,

waqt-e-ruksat wo mujhe seeney se laga kar roi

main be-qasoor hoon qudrat ka faisla hai ye

lipat k mujh se wo bus itna bta k roi

meri nafrat aur adawat pighal gayi pal mein

wo bewafa hai to kyun mujh ko rula kar roi

sab shikway mere ek pal mein beh gaye

jheel si aankhon mein jab aansu saja kar roi

wo roi to bohat magar mujh se muh mor k roi,

koi majburi hogi jo dil tor k roi,

mere samne kar diye meri tasveer k tukde,

pata laga mere pechey wo unko jod k roi.

jo muskrai thi meri maut ki khabar sun kar,

laash dekh kar meri wo jaan tod k roi,

hua jab usey ehsaas apni sangeen ghalti ka,

suna hai qabar pe meri wo hath jod k roi..!”